pahli bar main kab takiye par sar rakh kar soi thi un ke badan ko dhunda tha aur roi thi do hathon ne bhench liya tha garm aaghosh ki rahat mein kaisi gahri nind mujhe tab aai thi kab dur hui thi pahli bar apne pairon par chal kar bistar se alag phir ghar se alag ek lambe safar par nikli thi dhire dhire dur hui kab narm badan ki garmi se is mithi nind ki rahat se ab sochti hun aur roti hun