abhi se un ke liye itni be-qarar na ho kiya hai mujh ko bahut be-qarar chheda hai tumhaare sher suna kar tumhaare sar ki qasam saheliyon ne mujhe bar bar chheda hai kashish nahin hai tumhaare bina bahaaron mein ye chhat ye chand sitare udas lagte hain chaman ka rang nasim-e-sahar gulab ke phul nahin ho tum to ye sare udas lagte hain khabar suni hai kabhi jab tumhaare aane ki main aaine mein dulhan ban ke muskurai hun gai hun daman-e-dil ko khushi se bharne magar jahan bhar ki udasi samet lai hun kahin pe gae gae hain jo git babul ke to ajnabi se khayalon mein kho gai hun main tumhaari yaad ke sine pe bar-ha 'azar' tasawwuraat ka sar rakh ke so gai hun main tumhein yaqin na hoga akele kamre mein main apni jaan se pyare khutut padhti hun tamam raat tumhein yaad karti rahti hun tamam raat tumhaare khutut padhti hun tum aa bhi jao ki guzre hue dinon ki tarah sulag na jaen kahin hasraton ki taswiren udas pa ke na chheden saheliyan mujh ko badal bhi do meri tanhaiyon ki taqdiren