nakhl-e-numu ki shakh pe jis dam nam ki aanch ki sarshaari mein pankh apne phaila kar ghuncha puri tab se khil uthta hai rang aur khushbu ki bani mein zat-o-hayat ke kitne nukte pure wajud se kah deta hai ye nahin jaanta kaise kaise rut ke bhed hawa ke tewar phir bhi an-kahe rah jate hain dekhte dekhte rang aur khushbu aap hi maddham ho jate hain puri baat kahi nahin jati baat adhuri rah jati hai raste khatm kabhi nahin hote raston ke aage raste hain aarzuon andeshon jaise raston mein raste uljhe hain in raston ke rahi sare thak thak rah mein rah jate hain raste khatm kabhi nahin hote baaton ke pichhe baaten hain chehre saf nazar nahin aate chehre chilman ban jate hain chehron ke pichhe chehre hain chehre maddham ho jate hain manzar mubham ho jate hain did nasib kise hoti hai dil mein duri rah jati hai puri baat kahe kya koi puri baat kahi hai kis ne baat adhuri rah jati hai