shahr kaise ye ajnabi thahra kaise pahchan kho gai meri ab koi jaanta nahin mujh ko sochta hun to kanp jata hun sahme sahme se hain dar-o-diwar khidkiyan dekh kar tajjub se guftugu kar rahi hain aapas mein kaun aaya hai milne barson baad kah rahi hai ye mujh se kya angnai puchhti hai kahan se aae ho kuchh batao to kis se milna hai sochta hun kahun main kya us se meri baaton ko kab ye manegi mere qisson ko jhut jaanegi jis se milna tha wo nazar hi nahin hae ab koi muntazir hi nahin zehn ye sochne pe hai majbur waqai der ho gai hai kya raste mein kahin ruka hi nahin der kaise hui phir aane mein