kis qadar dilkash suhani sham hai barsat ki bolne wali hai ab taswir goya raat ki daman-e-maghrib mein poshida rukh-e-khurshid hai aamad aamad hai qamar ki us ka shauq-e-did hai khama-e-qudrat ke pa-e-dhab shafaq ke rang mein sar-ba-sar dube hue hain sab shafaq ke rang mein sar utha kar aasman ki jama-zebi dekhiye us ki rangini mein kya hai dil-farebi dekhiye ye ru-pahla ye sunahra rang hi kuchh aur hai rang hi kuchh aur be-shak dhang hi kuchh aur hai kaam sone ka bana hai gumbad-e-aflak par zau-fagan hota hai aalam is ka farsh-e-khak par bazm-e-gardun par hua hai anjuman-ara koi jhankta parde se hai shayad ye mah-para koi main na kyun qurban jaun is ada is dhang ke aasman par khil rahe hain phul lakhon rang ke hain lakiren mukhtalif rangon ki rangin dagh hai ye khuda ki shan hai kya aasman par bagh hai sham hai barsat ki dilchasp manzar sath hai dekhiye hota hai kya qudrat ka is mein hath hai surat-e-taswir chup 'bismil' hue ye bol kar husn ki duniya hai dekho dida-e-dil khol kar