hai ghazal mein zindagi se guftugu kahte hain urdu ki hai ye aabru han ghazal mein aashiqi ka aks hai mai-kade ki raushni ka aks hai sher is ke yaad rakkhe jate hain bachcho ye har ek ke dil ko bhate hain 'mir'-o-'ghaalib' ki ghazal mashhur hai is mein ishq-o-falsafa ka nur hai hai ghazal hindi mein irani mein hai ek nasha sa is ke sheron hi mein hai sher ghazlon ka har ek aazad hai husn aur hikmat se jo aabaad hai nazm par bachcho ghazal bhaari hui is ki shohrat badh rahi hai aaj bhi ban ke kyon bachchon ka shair hi rahun ab ghazal 'hafiz' koi achchhi kahun