adhuri dastan

nazhad-e-barg-o-gul
sahar ki samt ja rahi hai

khwab-kar zulmaton ke dasht se
huruf

zaiche
purane adh-jale

khandar imaraten makan
un ke bhut bhi hain un ke ham-safar

hujum-e-karwan sehr-zada hai
zard daeron mein aks-rez putliyan

faza ko nochti hain
mangti hain khun-e-dil ka

ek ek rahgir se khiraj
main un ke sath hun

ya apna rahzan
dua ki khak baal-o-par se

main jhatak chuka hun
meri raat

meri tirgi
mujhe utarna hai tujh ko khun-e-dil ki

mauj-e-be-karan ke sail-e-garm mein
mujhe pukarna hai us fasurda-dil

udas ajnabi ko
mujh se jaane kab jo dafatan bichhad gaya

ye log mere ham-safar
sahar ke qurb se

hayat-e-jawidan ki mahfilen sajaenge
meri adhuri dastan sunaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close