kisi shahr mein ek rahta tha raja wo raja tha bajta hua ek baja yun hi aate jaton se takrar karta hawa par bhi talwar se war karta sunaun tumhein ek din ki kahani masahri pe baithi thi raja ki rani ki itne mein ek nannhi munni c chidiya liye chonch mein ek chhota sa tinka chali aai rani ke kamre ke andar aur aa baithi rani ke bilkul barabar ye dekha to raja ne tewri chadhai utha aur ghusse se tali bajai diya hukm faujon ka salar aae ki fauj aa ke chidiya pe goli chaliye mila hukm faujon ka salar aaya para aa ke faujon ka us ne jamaya magar nannhi chidiya thi himmat ki aali kiya us ne dushman ka har war khali wo udti phiri sare kamre ke andar aur aa baithi rani ke kandhe ke upar to rani ko us par bahut pyar aaya use apne aanchal mein jhat-pat chhupaya ye dekha to raja bahut satpataya magar apni rani se kuchh kah na paya to rani use dekh kar muskura di uthi aur khidki se chidiya uda di