daraKHton ka silsila

yahan se darakhton ka har silsila khatm hota hai
ab samne zard chatiyal zaminen hain

khwabon ke marqad
iradon ki lashen

rafiqon ke pinjar
bikharte hue roz-o-shab

aasmanon ki yurish
yahan aaj hum bhi

pareshan zehnon se girte hue bij bo den
ki roz-e-qayamat mein takhir na rah jae koi

ye chatiyal zaminen suna hai ki banjar nahin hain
ye fasl-e-gul ka

shagufta-o-sarsabz imkan
abhi mere tere lahu mein

bigadti sanwarti
rag-o-pai mein jalti

kahani ke anjam ka muntazir hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close