wahi kaenat ki phailti hui zulmaten wahi surajon ki hai bebasi yahi ek manzar-e-ruu-ba-ru mere shash jihat ki dastan mujhe lamha lamha nigal raha hai magar kahin meri khwab raat ke aasman pe koi haala-e-nur hai jo azal se ta-ba-abad faza-e-fana mein darj hai aisi satr dawam ki jise masjidon ke ujad taq taras gae jise dhundte kai din mahine baras gae