adhuri nazm

andheri sham ke sathi
adhuri nazm se zor-azma hain
bar-sar-e-kaghaz bichhadne ki
suno tum se dil-e-mahzun ki baaten kahne walon ka
yahi anjam hota hai
kahin satr-e-shikasta ki tarah hain chaar shane chit
kahin harf-e-tamanna ki tarah dil mein taraazu hain
suno in nil-chashmon sakht-jaanon be-zabanon par
jo guzregi so guzregi
magar main ek adhuri nazm ki haijaan mein khoya
tumhein aawaz deta hun
ki tanha aadmi takhliq se aari hua karta hai
jaan-e-man!
suno mere qarib aao
ki mujh ko aaj ki raat ek adhuri nazm puri kar ke sona hai!
This is a great adhuri baatein shayari. True lovers of shane ali shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this yaari shayari 2 line is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close