khiladi ru-ba-ru baithe hain apni chaal chalte hain bichhai hai siyasat ki bisat aur is pe lashen hain kahin maqtul shaikhan-e-haram ke kahin par shah ke kushte kahin malika ke murde hain kahin jamhuriyat ke adh-mue zakhmi karahe ja rahe hain khiladi taziyat ke rang ko chehre pe malte hain badi tahzib aur shafqat se lashon ko uthate hain unhen malum hai ye apne mohre kab badalne hain pyaadon ko kahan par gardanen apni katani hain kahan par kis tarah ek dusre ko mat deni hai bahut arse se sare match hi ab fix hote hain