qasr-e-shahi mein ki mumkin nahin ghairon ka guzar ek din nur-jahan baam pe thi jalwa-figan koi shamat-zada rahgir udhar aa nikla garche thi qasr mein har chaar taraf se qadghan ghairat-e-husn se begam ne tamancha mara khak par dher tha ek kushta-e-be-gor-o-kafan sath hi shah-e-jahangir ko pahunchi jo khabar ghaiz se aa gai abru-e-adalat pe shikan hukm bheja ki kanizan-e-shabistan-e-shahi ja ke puchh aaen ki sach ya ki ghalat hai ye sukhan nakhwat-e-husn se begam ne ba-sad-naz kaha meri jaanib se karo arz ba-ain-e-hasan han mujhe waqea-e-qatl se inkar nahin mujh se namus-e-haya ne ye kaha tha ki bazan us ki gustakh-nigahi ne kiya us ko halak kishwar-e-husn mein jari hai yahi shara-e-kuhan mufti-e-din se jahangir ne fatwa puchha ki shariat mein kisi ko nahin kuchh ja-e-sukhan mufti-e-din ne be-khauf-o-khatar saf kaha shara kahti hai ki qatil ki uda do gardan log darbar mein is hukm se tharra utthe par jahangir ke abru pe na bal tha na shikan tarkashon ko ye diya hukm ki andar ja kar pahle begam ko karen basta-e-zanjir-o-rasan phir usi tarah use khinch ke bahar laen aur jallad ko den hukm ki han tegh bazan ye wahi nur-jahan hai ki haqiqat mein yahi thi jahangir ke parde mein shahanshah-e-zaman us ki peshani-e-nazuk pe jo padti thi girah ja ke ban jati thi auraq-e-hukumat pe shikan ab na wo nur-jahan hai na wo andaz-e-ghurur na wo ghamze hain na wo arbada-e-sabr-shikan ab wahi panw har ek gam pe tharraate hain jin ki raftar se pamal the murghan-e-chaman ek mujrim hai ki jis ka koi hami na shafi ek bekas hai ki jis ka na koi ghar na watan khidmat-e-shah mein begam ne ye bheja paigham khun-baha bhi to shariat mein ek amr-e-ahsan mufti-e-shara se phir shah ne fatwa puchha bole jaez hai raza-mand hun gar bachcha o zan warison ko jo diye lakh diram begam ne sab ne darbar mein ki arz ki ai shah-e-zaman hum ko maqtul ka lena nahin manzur qisas qatl ka hukm jo ruk jae to hai mustahsan ho chuka jab ki shahanshah ko pura ye yaqin ki nahin is mein koi shaeba-e-hila-o-fan uth ke darbar se aahista chala su-e-haram thi jahan nur-jahan mo'takif-e-bait-e-khazan dafatan panw pe begam ke gira aur ye kaha tu agar kushta shudi aah che mi kardam man