ye kaun kahta hai insan ka karwan-e-hayat palat ke aane ko hai be-gunahi ki jaanib wahi gunah wahi masiyat wahi badbu wahi hai dard wahi karwaten wahi pahlu wahi fasad wahi shar hi tamarrud hai dimagh-o-dil pe musallat wahi tashaddud hai ye kaun kahta hai insan ka karwan-e-hayat palat ke aane ko hai be-gunahi ki jaanib main dekhta hun ki insan ka karwan-e-hayat ujala chhod chala hai siyahi ki jaanib siyahi jaise samundar ki thah mein pinhan siyahi jaise kham-e-dud-e-ah mein pinhan siyahi jaise ghata-top raat se zahir siyahi jaise munafiq ki baat se zahir main dekhta hun ki insan ka karwan-e-hayat ujala chhod chala hai siyahi ki jaanib main jaanta hun ki insan ka karwan-e-hayat rawan-dawan to hai lekin tabahi ki jaanib tabahi jis mein jahannam ka ghaar poshida tabahi jis mein hai har fard zahar-noshida tabahi jis mein hai har ghat ghat mein jumut tabahi jis mein nihan maut ka jumud-o-sukut main jaanta hun ki insan ka karwan-e-hayat rawan-dawan to hai lekin tabahi ki jaanib