pyar bhara tehwar

suraj apni pichkari se karta hai yalghaar
subh ke ujle daman pe hai ranga-rang bahaar

nile pile lal gulabi rangon ki bauchhaar
jhumen nachen dhum machaen galiyan aur bazar

baje tashe ser tamashe le kar jagi bhor
rang ke andar rang jagae holi chaaron or

maston ki toli ke pichhe hai maston ka shor
aaj tarangon aur umangon ka hai pura zor

rag rang aur khel tamashe holi ka uphaar
hirdai hirdai prem jagae pyar bhara tehwar

mithi mithi chhed-chhad aur mithi mithi dhum
galiyon galiyon sadkon sadkon bajen man ke tar

nit rangon se yak-rangi ka jage jab ehsas
tab holi ka jashn manae dharti aur aakas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close