ek umr hoti hai jis mein koi ladka ho ya wo koi ladki ho sochte hain donon hi hum hi harf-e-awwal hain is jahan-e-kohna ko apni fikr-e-nau se hum ek lagan ki lau se hum jis tarah ka chahenge waisa hi bana lenge pattharon ko mar-mar ke paikaron mein dhaalenge ek umr hoti hai jis mein koi ladka ho ya koi ladki ho sochte hain donon hi kitne azm the apne nazr-e-khak hain sare baat damanon ki kya chaak chaak dil bhi hain hum ki harf-e-awwal the harf-e-akhirin bhi nahin hum ki aasman se the zarra-e-zamin bhi nahin ek umr hoti hai khwahishon ki jazbon ki ek umr hoti hai kahishon ki sadmon ki