likha hua hai kisi ka likkha nahin rahega jo harf dimak se bach rahenge unhen hawaon ne chatna hai koi zaban ko qalam bhi kar le to kya karega abhi to hum ne qalam ke honton ka katna hai na koi nuqta na harf koi na lafz hoga na satr hogi sutur kya hain? is intishaar-e-sukhan mein bainassutur kuchh bhi nahin rahega tumhaara ijz-e-bayan, bayan ka ghurur kuchh bhi nahin rahega tum is ghadi jo suna rahe ho ye nazm baqi nahin rahegi ye nazm kya hai koi takallum ki bazm baqi nahin rahegi ye lafz kanton ki fasl hain aur kisi ko kante kashid karne se kya milega tumhein aziyyat rah-e-sukhan mein mazid karne se kya milega agar kahin par likha hua hai to likh raha hun ki be-sabaati ki khu baqa ki sarisht mein hai kisi ka likkha nahin rahega to aap hadd-e-nawisht mein hai