be-ab-o-giyah banjh dharti mujh se ye sawal kar rahi hai ai khaliq-e-naghma-e-bahaaran sadiyon hun main khizan-rasida mafluj hain kab se mere aaza tum mera ilaj hain kab se mere aaza tum mera ilaj kar sakoge main chup hun khamosh hun kahun kya shair hun main lafzon ka masiha ai kash main ek kisan hota is dharti ke munjamid lahu ko be-hoshi ki nind se jagata mehnat se nae chaman khilata mitti ko nai dulhan banata