khandar sa shahr ghup tarik raaton mein husain-ibn-e-ali ki yaad mein matam-kunan ro-ro ke kahta hai husain! tumi kothae? mahabt-e-jang ki ye sarzamin murshid ki ye basti tarasti hai siraj-uddola ko har-pal masajid mein namazi chidiyan pabandi se aati hain shikasta hain bhi to iman ka mehrabon se kya matlab aqidon ko hai mimbar kya ab in viran taqon mein diyon ki kaun sochega chalo, langar uthao kuch karna hai udhar ko ab jahan koi andhere mein yunhi matam-kunan hoga na jaane kab giren lashen lute kheme udi chadar na jaane kab kisi ne rakh diye hathiyar kis ne zid mein de di jaan ye nauhe phir kisi din ke liye rakh do ki tarikhen rulati hain chalo pat aaen khandaq mod den topen utha kar phenk den jins-e-tijarat gahre pani mein wo sharten aaj manwalen kabhi jin par siyahi pher di thi mir-'jafar' ne