lahu-nosh lamhon ke bedar sae use gher lenge sinanen uthae tamazat-zada shab zan-e-bakara si simat jaegi aur bhi apne tan mein wo suraj ka sathi andheron ke ban mein asasa liye fikr ka apne fan mein shuaon ki suli pe zinda tanga hai na ab shahr mein koi itna hazin hai ghazabnak tanhaiyon ko yaqin hai ki us ke muqaddar mein wo khud nahin hai wo ek infiradi haqiqat ka hami fasilon pe wahm-o-guman ki khada hai shahr-zad shabnam se ye puchhta hai ki suraj ke sine mein kya kya chhapa hai magar sham ki surkh aankhon ne is par hamesha sulagti hui rakh dali tah-e-atish-e-srukh-ru wo sawali ki jis ne hatheli pe sarson jama li kisi dewta ki nigah-e-ghazab se bana ajnabi apne aabaad ghar mein kabhi is nagar mein kabhi us nagar mein kabhi bas gaya sirf diwar-o-dar mein wo ek shakhs tanha ki jis ka abhi tak safar hai musalsal na ghar mustaqil hai faqat pas mein us ke masum dil hai magar kis qadar muztarib muzmahil hai jo shahr-e-ana mein khada sochta hai kahan raat kate kahan din bitae hatheli pe duniya ka naqsha banae bhatakta hai wo aaj bhi chot khae are gum-shuda aadmi aa ke mil ja are gum-shuda aadmi aa ke mil ja