agar ye zindagi tanha nahin hoti

agar ye zindagi tanha nahin hoti
to is ko khub-surat phul mein tabdil karne ke liye

katra na ja sakta
kabhi is se koi kaghaz ki kashti jod kar

gahre samundar ki taraf bheji na ja sakti
safar ke darmiyan aai ek an-jaani sarae mein

zara se dam ke badle
ise haara na ja sakta

agar ye zindagi tanha nahin hoti
to is ko mukhtalif tukdon ke andar bant kar

hum apni marzi ke na un mein rang bhar sakte
badi miqdar mein is ko

na hum email kar sakte
agar ye zindagi tanha nahin hoti

to is ke khub-surat rang
aawara si ek barish mein dho dale na ja sakte

agar ye zindagi tanha nahin hoti
to is ke faltu tukde

munderon par parindon ke liye phenke na ja sakte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close