wo din bhi aae hain us ki siyah zulfon mein kapas khilne lagi hai, jhalakti chandi ke kashida tar chamakne lage hain baalon mein wo din bhi aae hain surkh o sapid galon mein dhanak ka khelna mamnu,a hai, labon pe faqat gulon ki tazgi ek saya-e-gurezan hai wo bhi din aae hain us ke sabih chehre par kahin kahin koi silwat ubhar si aai hai zara si muzmahil thodi thaki thaki si nazar talash karti hai umr-e-gurez pa ke nuqush use bhi lagta to hoga ki main wahi hun, magar khizan-gazida thaka sa udas ranjida use bhi lagta to hoga ki hum wahi hain magar dil o dimagh ki baham supurdagi ke din na jaane umr ke kis marhale pe chhut gae main chahta hun kabhi baat kar ke dekhun to kahun ki jism to ek aarizi haqiqat hai kahun darun-e-dil-o-jaan jo ek aalam hai wahan to waqt ka ehsas tak nahin hota kahun ki umr se shikwa, gila jawani hai labon pe harf-e-shikayat dilon mein talkhi si alil jazbe hain un se hamara kya rishta? kahun ki aaj bhi subh-e-shab-e-visal ke gul hamari ruh mein khilte hain, aao sath chalen pakad ke hath ki agla safar tawil nahin!