dar diwar aur dariche ek muahida hain adam-e-mudakhalat ka mashrut muahida do mohazzab insanon ke darmiyan do mutamaddin khandanon ke darmiyan diwar tahzib ki tarjuman tamaddun ki pahchan aur baqa-e-bahami ki aaina-dar hila huquq ki zamanat baqa-e-tahiyat ki alamat hait aur ahata zehni-o-jismani aasudgi aur sukh-chain ke liye lazim hai dakhl dar maqulat ghair-akhlaqi hi nahin ghair-insani rawayya bhi hai ghar ka haq hai ki wo dusre ghar ki be-ja mudakhalat se mahfuz rahe hum diwar to hamdard hota hai khabar-gir hota hai khabar-rasan nahin ban sakta takhayyul aasudgi sukh ghatati aur dukh badhati hai shakar-ganji paida karti hai aazurda-dili ka maujib banti hai fasle diwar ki pukhtagi se nahin dilon ki sakhti se badhte hain pukhta diwar to tamaddun ki baqa hai suri fasle be-mani ho jate hain agar qalb-o-nazar shad hon haq khalwat khalij nahin farakhi tarfain hai priwacy ka haq tahzib-e-insani ki mearaj hai