phir wahi khwab-numa shab ke sarabon ka chalan jari hai shab ki is bar safiran-e-chaman aur bhi kuchh bhaari hai gul pe shabnam pe anadil pe saba aur hawa sab pe wahi sehr-e-alam tari hai phir usi tarz-e-kuhan mein naya andaz-e-fusun-kari hai sakht mushkil mein hain ai jaan-e-wafa arz-e-watan harf-e-maqsud raqibon ko gawara bhi nahin kya karen sabr ka yara bhi nahin kaise tamir ki tazin ki phir baat karen khun-e-dil nazr-e-giran-bari-e-auqat karen hum tahi-dast jo aahon mein asar mangte hain sabz-o-shadab hasin khuld-e-nazar mangte hain apni majbur tamanna ka nagar mangte hain ek be-dagh sahar mangte hain!!