bhala majal kahan mujh se be-zabanon ki ki munh se baat kahun kuchh falak nishanon ki tere wajud se aalam ye ho gaya raushan ki khak-e-hind mein rifat hai aasmanon ki wo phul hain tere daman mein samne jin ke bahaar gard hai duniya ke gulistanon ki guphaon se teri niklen to sare aalam mein sadaen gunj uthin tauhid ke taranon ki bulandiyon se teri jab rawan hue chashme hayat jin se hai duniya ke baghbanon ki mai-e-majaz mein jo nashsha-e-haqiqat hai wo yaadgar hai to ishq ke fasanon ki teri bulandi ghurur-e-waqar ke aage chali na ek hawai-jahaz-ranon ki wo sur phunk de apne lab-e-mubarak se ki yaad taza ho bhule hue fasanon ki atal hon jin ke irade khayal jin ke buland uthen ab aise zamin-e-watan se hausla-mand