bain karne walon ne mujhe adh khule hath se qubul kiya insan ke do janam hain phir sham ka maqsad kya hai main apni nigrani mein rahi aur kam hoti chali gai kutton ne jab chand dekha apni poshak bhul gae main sabit qadam hi tuti thi ab tere bojh se dhans rahi hun tanhai mujhe shikar kar rahi hai ai mere sar-sabz khuda khizan ke mausam mein bhi main ne tujhe yaad kiya qatil ki saza maqtul nahin ghaib ki jangali-bel ko ghar tak kaise laun phir aankhon ke tat pe main ne likkha main aankhon se marti tu qadmon se zinda ho jati