raat khub-surat hai nind kyun nahin aati din ki khashm-gin nazren kho gain siyahi mein aahani kadon ka shor bediyon ki jhankaren qaidiyon ki sanson ki tund-o-tez aawazen jelaron ki badkari galiyon ki bauchhaaren bebasi ki khamoshi khamushi ki fariyaaden tah-nashin andhere mein shab ki shokh doshiza khar-dar taron ko aahani hisaron ko par kar ke aai hai bhar ke apne aanchal mein jangalon ki khushbuen thandken pahadon ki mere pas lai hai nil-gun jawan sina kahkashan ki peshani nim chand ka joda makhmalin andhere ka pairahan larazta hai waqt ki siyah zulfen khamushi ke shanon par kham-ba-kham mahakti hain aur zamin ke honton par narm shabnami bose motiyon ke danton se khilkhila ke hanste hain raat khub-surat hai nind kyun nahin aati raat peng leti hai chandni ke jhule mein aasman par tare nanhe nanhe hathon se bun rahe hain jadu sa jhinguron ki aawazen kah rahi hain afsana dur jel ke bahar baj rahi hai shahnai rail apne pahiyon se loriyan sunati hai raat khub-surat hai nind kyun nahin aati roz raat ko yunhi nind meri aankhon se bewafai karti hai mujh ko chhod kar tanha jel se nikalti hai bambai ki basti mein mere ghar ka darwaza ja ke khatkhatati hai ek nanhe bachche ki ankhdiyon ke bachpan mein mithe mithe khwabon ka shahad ghol deti hai ek hasin pari ban kar loriyan sunati hai palna hilati hai