band dariche, jo kabhi band nahin hote jahan kirnon ke jhankne par pahre hain andheri kothariyon mein zaban khamosh, jism bolte hain jab koi khwahish-zada apni barahna khwahish liye kisi band dariche ka rukh karta hai to pakizgi aur pairahan kone mein baith kar bain karte hain zakhm-alud jism ke andar chikhen kohram barpa kar deti hain itni nahif chikhen ki kisi kan par wo dastak nahin de patin roz an-ginat jism tadapte hain aur un mein dheron khwahishen dafn ki jati hain