ai nazir-e-be-KHabar

ai nazir-e-be-khabar
ab tum na hi aao to achchha hai

ab yahan phir shurua se shurua kaun kare
lamha lamha shab-e-gham ka yun adu kaun kare

hont sukhe hain inhen phir se kaman kaun kare
did ko chashma-o-shamshir zaban kaun kare

sham ko phir se charaghan karun himmat hi nahin
qisse wo phir se sunaun tujhe quwwat hi nahin

jo dariya bah gaya wo phir na laut kar aata
hun adakar adakari nahin kar pata

tu mujhe ab ke kisi aur mod par milna
naya ho zakhm bahe phir koi khun ka jharna

ye zindagi hai tamasha kya tujhe ilm nahin
jo lamha tal gaya so tal gaya ye film nahin

ai nazir-e-be-khabar
ab tum na hi aao to achchha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close