shab-baraat

kyunkar kare na apni numudari shab-baraat
chilpak chapati halwe se hai bhaari shab-baraat

zindon ki hai zaban ki mazedari shab-baraat
murdon ki ruh ki hai madad-gari shab-baraat

lagti hai sab ke dil ko gharaz pyari shab-baraat
shakkar ka jin ke halwa hua wo to pure hain

gud ka hua hai jin ke wo un se adhure hain
shakkar na gud ka jin ke wo parkat landure hain

auron ke mithe halwe chapati ko ghure hain
un ki na aadhi-pao na kuchh sari shab-baraat

duniya ki daulaton mein jo zardar hain bade
qandon ke halwe roghni nanen liye khade

pahunchae khwan phirte hain naukar kai pade
zinde bhi rah takte hain murde bhi hain khade

in khubiyon ko rakhti hai tayyari shab-baraat
thiliyan chapati halwe ki to sab mein chaal hai

adna gharib ke tain ye bhi muhaal hai
kale se gud ki lipti kadhi ki misal hai

pani se handi gehun ki roti bhi lal hai
karti hai aisi dukhiya pansari shab-baraat

aur muflison ki hai ye tamanna ki fatiha
dariya pe ja ke dete hain baba ki fatiha

bhatiyari ke tanur pa nana ki fatiha
halwai ki dukan pe dada ki fatiha

yan tak to un pe lati hai na-chaari shab-baraat
waris hain jin ke jite wo murde bhi aan kar

halwe chapati khub hi chakhte hain pet-bhar
jin ka koi nahin hai wo phirte hain dar-ba-dar

auron ke lagte phirte hain konon se ghar-ba-ghar
un ki hai khaari nun se bhi khaari shab-baraat

mulla jo dene fatiha ghar ghar mein jate hain
halwa kahin kahin wo chapati udate hain

muflis koi bulawe to munh ko chhupate hain
shakkar ka halwa sunte hi bas daude jate hain

kahte hue ye dil mein aha-ha ri shab-baraat
chhode hai lattu tonbadi har-dam bana ke jo

hakim ka pyaada kahta hai yun us se talkh ho
kapde badan bacha ke jo chaho so chhod do

chhappar jalaoge to dilawegi subh ko
tum se chabutare mein gunahgari shab-baraat

phirte hain ishq-baz jo ladke ki ghat mein
tota hi le ke dete hain ladke ke hath mein

mahtabi aa ke chhoden hain ladke jo raat mein
kya zarkiyan si chhode hain hans hans ke baat mein

karti hai kaam un ke bhi yun jari shab-baraat
jo randi-baz hain wo bahut dil mein shad ho

kya kya anar chhode hain bishni ho ru-ba-ru
ai bi tum apni kulhiya hamein chhodne ko do

aur chaho tum hamara ye hat-phul chhod lo
ho jae jis ke chhutte hi phulwari shab-baraat

aur jo bahaar-e-husn ke hain pak-baz yar
gul-kari chhode hain jahan mahbub gul-ezar

kahte hain un ko dekh ke aankhon mein kar ke pyar
kya chahiye miyan tumhein hat-phul aur anar

tum par to aap hoti hai ab wari shab-baraat
ghanchakkar apne dam mein kahin charkh khate hain

tonte hawai sink kahin qahqahate hain
zinpat-zapat patakhe kahin ghul machate hain

ladkon ke bandh ghol kahin ladne jate hain
karti hai phir to aisi dhunwadhaari shab-baraat

aa kar kisi ke sar pe chhachhundar lagi kadi
upar se aur hawai ki aa kar padi chhadi

ho gai gale ka haar patakhe ki har ladi
panw se lipti shor macha kar qalam tudi

karti hai phir to aisi sitamgari shab-baraat
chehra kisi ka jal gaya aankhen jhulas gain

chhai kisi ki jal gain bahen jhulas gain
tangen bachin kisi ki to ranen jhulas gain

monchhen kisi ki phuk gain palken jhulas gain
rakhe kisi ki dadhi pe chingari shab-baraat

koi doston ko dil mein samajhta hai apne ghair
koi dushmanon se dil ka nikale hai apna bair

kahta hai wan 'nazir' bhi aatish ki dekh sair
yarab to sab ki kijiyo barsa-baras ki khair

be-tarah kar rahi hai numudari shab-baraat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close