apni dahliz pe khada tanha apna ghar ajnabi sa lagta tha us ki rukhsat thi manind-e-parwaz har taraf abtari ka manzar tha ek luknat-zada si virani dar-o-diwar pe thi hairani larazte aansu aur dukhta hua sar rokte the use paimaish-e-virani se wo ki soya hai ya ki jaga hai subh se kyon ye samundar ka khayal zehn mein aaj thapede mare kohar-alud band darichon mein jo wasia kaenat chhupti hai na-umidi ki nilgun chadar ek samundar si phail jati hai kyon ye rah rah ke samundar ka khayal zehn mein aaj thapede mare kitni manus thi qarib thi wo jaise sahil ho ek samundar se be-karan mauj jaise sahil ki god mein aa ke hi dam leti hai us ki taswir us ke hilte lab sare manzar hain zer-e-ab kahin ek talatum ke baad sarkande jaise patal mein chhup jate hain kyon ye rah rah ke samundar ka khayal zehn mein aaj thapede mare sham ke dudhiya dhundlakon mein tanha tanha udas phirta hai raat jab siskiyon mein dhalti hai phir samundar ki yaad aati hai ye hasin wadiyan us se manus thin us ki jagir thin ek tufan paiham hawa mein kharosh sab hasin wadiyan yak-ba-yak so gain