meri gardan mere shane mere lab sab ke sab viran hain apne ghar mein ek main hun aur kali raat ka pur-haul sannata kisi ke panw ki aahat nahin chudiyon aur bartanon ki khan-khanahat bhi nahin sui dhage ek duje se bhare baithe hue hain dhul mein lipti kitaben mez par bikhri padi hain aur chulha lakdiyon ki yaad mein gum-sum ek kone mein pada hai aur ek an-jaana saya ghar ki chaukhat par khada hai ek hasin-taswir jo diwar par latki hui hai dekh kar mujh ko malul chupke chupke ro rahi hai aur kali raat ka pur-haul sannata khilkhila kar hans raha hai