ai ruh-e-zindagi ai khuda ki quwwat-e-takhliq kaun si nai duniyaen aabaad karne mein masruf ho gai hai tu is hamari duniya ki jaanib bhi palat kar dekh jo lamha-ba-lamha viran se viran-tar hoti ja rahi hai ai ruh-e-zindagi ai awwalin raushni ki abadi lau maut ke andheron ko chirti hui aa dekh main bazu khole khada hun aa aur apni lapet mein le le mujhe meri aankhon se dekh mere zehn se soch mere khwabon mein utar kar makhluq-e-khuda ki aarzuon ka andaza kar mere dil mein padaw kar is ke shikasta aaine mein hamari haalat dekh aur naghma chhed jo kamzoron ki tuti hui himmat ko az-sar-e-nau jawan kar de wo sur phunk jo zalimon ke dast o bazu ko tod kar rakh de wo aah bhar jo faqon marti makhluq par rizq ki barish ban kar baras jae wo sada kar jo niyat ke futur ko husn-e-khayal mein aur natije ki aziyyat ko husn-e-amal mein badal de ai ruh-e-zindagi ai khuda ki quwwat-e-izhaar meri duniya mein tere rang phike pad gae hain dekh arbon insan jite-ji mar rahe hain na-insani bad-amni mayusi bimari aur jahaalat ne teri taswir mein maut ke rang bharne shurua kar diye hain aa, aur bol mere andar se aa, mera kalam ban ja bayan ban ja mera qalam ban ja mu-qalam ban ja aa, insaf amn aur aazadi ko tarse huon ki ummid ban ja aa, dosti mohabbat aur barabari se mahrum makhluq ki dhaaras bandhane aa aa, aur jaldi aa ki tujhe pukarte pukarte kahin main hath tod kar na baith jaun