bebasi ka azab udas raston pe chalne walo udasiyon ka safar muqaddar hai tum ye raste badal bhi lo to nishan-e-manzil tumhaari aankhon ki tirgi mein lipat ke be-nam ho rahega ye shahr ye bastiyan ye qarye bas ek be-nam khauf ki zad mein aa gae hain tumhaari aankhon mein kin khizaon ki zard viraniyan basi hain tumhaare honton pe zahr-e-be-rang ki tahen kis liye jami hain tumhaare chehron ka khak sa rang kaun se dard ka asar hai udas raston pe chalne walo agar ummidon ke ped patjhad ki zad mein hain to unhen jadon se ukhad phenko tumhaari aankhon mein zard viraniyan basi hain to apni aankhon nikal dalo tumhaare shahron mein khauf aaseb ban gaya hai to sab makanon ko rakh kar do magar kabhi yun na ho sakega ki jo banane ki aarzu mein bigadte hain wo hath hi bebasi ke pinjre mein band hain un udas raston pe chalne walo mujhe bhi hamrah le ke chalna ki main akela kahan rahunga