rail-gadi ye ghamsan ilahi tauba na murawwat na takalluf na tabassum na ada yunhi ek ghair-shuuri si khushunat ka kharosh be-irada hai to kya ghair-shuuri hai to kya ye nae daur ke ehsas-e-ghulami ka zuhur intiqama tahakkum ki numud is mein ek izhaar-e-baghawat bhi to hai yunhi yunhi sahi ek shaiba-e-dad-e-shujaat bhi to hai chaak to karta hun main apna gareban hi sahi kulbulati hui makhluq ki is daldal mein sina tane hue kuchh log badhe jate hain khub phunkarte phan phailae log wo log nahin jin ko thukraate hue jate hain ye log bade sahab log ye jo hukkaam hamare hain ye hukkaam nahin jo hamein se hain magar hum mein nahin ye jo bandon ke hain aaqa magar aaqa ke ghulam ba-wafa hun to hun be-dam nahin tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha un pe duniya ki har ek rah kushada hai magar aaj ek sang-e-garan hail hai ki uthae na uthe aur hilae na hile dusre darje ke darwaze mein un ke aaqaon ka ek fard farangi gora bahen phailae hue rasta roke hai khada kaun hota hai harif-e-mai-e-mard afgan-e-ishq sitiyan bajne lagin khidmat-e-sarkar baja lana hai aur sarkar hi khud sang-e-rah-e-manzil hai zindagi aa gai dorahe par der kyun karte ho bhago bhago daud kar third ke darbe mein ghuso apne ham-jins ghulamon mein milo zindagi aa gai dorahe par