ek khwab ki aahat se yun gunj uthin galiyan ambar pe khile tare baghon mein hansen kaliyan sagar ki khamoshi mein ek mauj ne karwat li aur chand jhuka us par phir baam hue raushan khidki ke kiwadon par saya sa koi larza aur tez hui dhadkan phir tut gai chudi, ujadne lage manzar ek dast-e-hinai ki dastak se khula dil mein ek rang ka darwaza khushbu si ajab mahki koyal ki tarah koi be-nam tamanna si phir dur kahin chahki phir dil ki surahi mein ek phul khila taza jugnu bhi chale aae sun sham ka aawaza aur bhanwre hanse mil kar har ek sitare ki aankhon mein ishaare hain us shakhs ke aane ke ai waqt zara tham ja aasar ye sare hain us shakhs ke aane ke