jab tak chand lutere is dharti ko ghere hain apni jang rahegi ahl-e-hawas ne jab tak apne dam bikhere hain apni jang rahegi maghrib ke chehre par yaro apne khun ki lali hai lekin ab us ke suraj ki naw dubne wali hai mashriq ki taqdir mein jab tak gham ke andhere hain apni jang rahegi zulm kahin bhi ho hum us ka sar kham karte jaenge mahlon mein ab apne lahu ke diye na jalne paenge kutiyaon se jab tak subhon ne munh phere hain apni jang rahegi jaan liya ai ahl-e-karam tum toli ho ayyaron ki dast-e-nigar kyun ban ke rahe ye basti hai khuddaron ki dube hue dukh-dard mein jab tak sanjh sawere hain apni jang rahegi