ai zindagi to ab tumhaari umr ki bahaaren guzar gain aur khizan ka mausam aane wala hai achchha tu ye bata zindagi ki chand ki pariyan ab tak mere aangan mein rozana kyun utarti hain kyun mujhe aasmanon ki sair karaati hain main ab tak rangon se kyun khelti hun mujhe kaenat se pare ek duniya kyun dikhai deti hai jahan sirf phul hi phul hote hain aur mithe pani ke aabshaaron mein mera wajud bhigta hai main ok bhar kar un se pani kyun piti hun ab tak mujhe parindon ki boli kyun samajh mein aati hai mujhe shararat karna kyun bhata hai ab tak main hansna kyun nahin bhuli hun mere andar ki bachchi kyun ab tak apne tute hue khilaunon se khelti hai mere hasin khwab kyun nahin chhute ab tak zindagi ai zindagi mujhe ye bata ki main ne ab tak nafrat karna kyun nahin sikha