main ne dukh nahin dekha main ne kuchh nahin dekha main ne sukh nahin dekha main ne kuchh nahin dekha duniya meri hatheli se bahar kya rahi hogi main ne dekha zamin par shayad sailab aaya tha main ne dekha ki dhup chaunki aur bhag kar darakhton ki chotiyon par chadh gai us ka rang faq tha aur us ki umr terah baras se ziyaada na thi sailab ne us ke panw chhu liye use phir bhi yaqin nahin aaya jaise kah rahi ho jao mujhe apne yaqini par kabhi yaqin nahin aaya be-iman aadmi ki tarah main be-yaqin hun ye log kahani sunate sunate ruk jate hain aur khamoshi ko sunate sunate ruk jate hain jaise tir-e-arzu hawa aur parinda chhide hue tirchhe zawiye bana kar zan se guzar gae hon aur jaise un sab ko ek nazar mein sab ne dekh liya ho jin samundaron par ye parinde girenge wahan bahut shor hoga aur log kahaniyon ko amanat kar ke dariya mein baha dete honge ye log tambaku ke patton mein apne dil lapet kar bo dete honge raat nahai hui kabutari ki tarah meri khidki mein aa baithti hai aur dete se baaten karne lagti hai main munafiqat ko chir kar par nikal jaana chahti hun raat jo maqtulon ke khun ko siyah aur sard kar deti hai aur qatilon ko panah deti hai raat jo qatilon ko panah deti hai ki wo apne hath dho len din jo salamti par lanat bhejta hai tulua hota hai aur range hue hathon ko pakad leta hai aur un ke chehron ko nanga kar deta hai jin ki aankhon mein marne walon ki shabihen jam gain hoti hain taki hone wale maqtul un ka badla le saken din jo raat ko chaak kar ke tulua hota hai sar-e-am unhen phansi ka elan karta hai sar-e-am apni saza ka elan sunta hai din jis ko bachchon ne libas kiya aur suraj khel gae