kya meri aankhon mein sannata hai nahin barf-bari ho rahi hai log mujh se khauf khane lage hain jaise murde se kya mujh se kafur ki bu aati hai nahin to meri sanson mein sawan ka abas aur amaltas ki garmi hai aur sanso aur aankhon ke darmiyan fasla ziyaada nahin phir bhi bahut hai is liye ki khatm ho jae to strugle hi khatm ho jae zindagi ko jari to rakhna hai intiqam raat bahut padi hai alaw jalta rahe to achchha hai jaanwar dhuen se khauf khate hain aur insan rakh se aag mera suhag hai aashiqon ke dilon par han nahin hote ki mang nikal kar aag bhar di jae is liye un ke dil phat jate hain aag andar utar jati hai upar barf girti rahti hai kapas ke phulon par moharram ka mausam hai ya-husaina wa-husaina kapas dhunki hui aasman ki chhati se barasti hai thandi thaar palken bhi nahin jhapaktin palkon ki jhaalaren safed ho jati hain barf ban kar un mein ati rahti hai aur andar baramde khali ho jate hain session mag jata hai ladki nakhun katti hai to chand us ki hatheli par utar aata hai tumhaara dulha bahut khub-surat hoga donon hatheliyan jodo to bhala chand to pura ho gaya magar raushni hathon mein band nahin ho saki phail gai hatheliyon mein chhed the scientific si baat hai aag amir suhag sab ladkiyon ke dilon mein nahin jalti is liye ki sab ladkiyan aashiq nahin hotin mahbubaen hoti hain aur un ki aankhon ke baramde khwan se saje rahte hain barf-bari un ke liye session hai mere liye mausam apne mashriq manon ke sath suraj tulua hota hai barf-bari aur bulandiyon par chadh gai jaanwar maidanon mein nikal aae palken khana-ba-dosh ho gain apna sawan uthae uthae ghat ghat do band pani islam-abaad mein na rajasthan mein barf ki nahr nikali jaegi aur mahbubaen aag ke bistar par let kar mithi barf ke gole chusengi abhi un ki umr hi kya hai abhi to ye log small-chickens-of-snakes palti hain mathe par kundal dalti hain chahe jaane ke liye lambi sunahri kar aur do bund pani na barfistan mein na aatish-dan mein ladki ki jins tabdil ho rahi hai ladki ka dulha do bund pani ki khatir hawa ho gaya ladki scare-crow ho gai shayad dulha ke bhaiyon ke kheton mein achchha hai dar-badari hone se to bach rahi bach rahi to use bachane us ka dulha zarur aaega