ye rang-o-bu ye nazare ye bazm-arai niyaz-o-naz-o-ada husn ishq ranai shabab-e-nazm-o-ghazal dar pai-e-shakebai mujhe ye saat-guzran kahan pe le aai qarar dekh liya iztirar dekh liya gham-e-habib gham-e-rozgar dekh liya udas chehron pe udta ghubar dekh liya nawa-e-shauq ko be-ikhtiyar dekh liya khizan-gazida sa rang-e-bahaar dekh liya guman-darida yaqin tar tar dekh liya tamam ishwa-e-husn-e-nigar dekh liya junun ka sajda sar-e-ku-e-yar dekh liya sawad-e-aql-o-khirad be-waqar dekh liya raha na khud ka bhi phir e'tibar dekh liya kabhi jo dekha na tha bar bar dekh liya na ibtida ki khabar hai na intiha malum nawishta-e-pas-e-diwar kya hai kya malum