ajnabi

baithe baithe rail ke dabbe mein
hoti hain baaten logon se

rasta katne ke liye
waqt bantne ke liye

manzil par pahunch kar
dhundli yaaden bin kar

ye log chhut jate hain
usi dabbe mein

zamin par bikhre hue
mungphali ke chhilkon ki manind

magar aaj ye
kaise ajnabi shakhs se

hui mulaqat safar mein
ki jis ka tasawwur

quli ke sar par dhare saman ki tarah
mere sath ghar chala aaya?


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close