chae khana bartan bhande saf karna jo hain gande bas yahi mera kaam hai aur jaante ho chhotu mera nam hai ghar ka akela ladka hun baqi sab ladki hain chaar bachchon sang bin man ke is ghar mein kadki hai man ke pet mein hi mera sauda kiya tha baba ne mere dam par qarz chukta kiya tha banaya mujh ko bandhua mazdur kaam karne ko kiya majbur sukh to dekho koson dur kahan se aae chehre par nur padhna likhna to chhodo yahan khane ke lale hain aise na ghabrao ke in nanhe hathon par chhaale hain chhotu ho kar bhi is ghar ko bas hum hi pale hain aise hi dusre hathon mein khilaunon ne ko dekha hai par dekho hum par qismat ne kaisa patthar phenka hai kya lagta hai tum ko hum ne bahut khela hai sab in hathon ne bas kaam ka bojh jhela hai is zindagi ka pahiya to yahi par hi jam hai meri zindagi mein bas ek yahi kaam hai aur jaante ho chhotu mera nam hai