asia ke dur-uftada shabistanon mein bhi mere khwabon ka koi ruman nahin! kash ek diwar-e-zulm mere un ke darmiyan hail na ho! ye imaraat-e-qadim ye khayaban, ye chaman, ye lala-zar, chandni mein nauha-khwan ajnabi ke dast-e-ghaarat-gar se hain zindagi ke in nihan-khanon mein bhi mere khwabon ka koi ruman nahin! kash ek diwar-e-rang mere un ke darmiyan hael na ho! ye siyah-paikar barahna rah-rau ye gharon mein khub-surat auraton ka zahr-e-khand ye guzargahon pe dew-asa jawan jin ki aankhon mein gurisna aarzuon ki lapak mushtail be-bak mazduron ka sailab-e-azim! arz-e-mashriq, ek mubham khauf se larzan hun main aaj hum ko jin tamannaon ki hurmat ke sabab dushmanon ka samna maghrib ke maidanon mein hai un ka mashriq mein nishan tak bhi nahin!
Please share if you liked this!!!