gard se ati hui khun se bhari hui zakhm-khurda aur shikasta-ruh ko apne baste mein chhupae kab talak tum rakh sakoge khwab-awar goliyon se taqat-e-raftar le kar hosh se aankhen bacha kar kab talak chalte rahoge ek din to mod aisa aaega jab apne baste mein chhupi ye na-mukammal ruh khun apna wajud tum se wapas mang legi us ghadi tum kya karoge kis tarah dhund ke laoge tum ruh ka asli wajud