wo ped ab kat gaya hai jis ke tale jawani ke garm lamhon ko thande sae mile jo ek mod ka nishan tha jahan se hum ek nai jihat ko chale the ab wo nishan bhi mit gaya wahan koltar ki ek sadak hai jo garmiyon mein pighli hui si rahti hai aadmi bhi pighal raha hai wahan par ab motoron ka dariya sa bah raha hai aur un ke pichhe dhuen ke parde pade hain koi na un ko pahchan pae ek shor hornon ka bapa hai koi na sun sake chahchahe parindon ke abtari hai magar main ek chap sun raha hun wo chap jaise koi bahut dur ja chuka hai