jitne ajib manzar dikhte hain hum ko aksar sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar phulon ka munh dhulae shabnam se jab sawera panchhi sunaen padh kar quran aur bhajan ko kaliyan khilin chaman mein gul mahke anjuman mein suraj ki ungli pakde kirnen chalin chaman ko tab waqt ka ye pahiya kitna lage hai sundar sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar dhakne lage jo pani sahil ko dhire dhire panchhi bhi laut jaen jis waqt apne wan ko suraj lagae surkhi honton pe sham ke jab tare sajaen aa kar jab raat ki dulhan ko hum ko bhi kitna pyara lagta hai tab wo bistar sab khel waqt ka hai sab waqt ke manzar bistar pe mahnge mahnge na nind ho mayassar apne sukun ki khatir ware dhani jo dhan ko aur aasman odhe footpath pe ho soya chumen hawaen aa kar mazdur ke badan ko insaf tab khuda ka kitna lage hai behtar sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar raushan khayal le kar jab jhonpade mein bachchi baithi ho chithadon se dhak kar ke apne tan ko aur kuchh hasin fitne karte phiren numaish fashion ke nam par wo dikhlaen hain badan ko tab waqt ke sitam par sab dekhte hain hans kar sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar jab kuchh amir bachche khele hain mercedes se kitne lage hain pyare wo dur se nayan ko aur aansuon ke dariya mein kuchh gharib bachche ek ek khilaune khatir mare hain apne man ko patthar pighal paden tab is baat ko to sun kar sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar jab ek nidar sipahi apne watan ki khatir sarhad pe jaan de kar pura kare wachan ko aur kuchh siyasi mohre bik jaen thode dhan se dushman se mil ke toden khud apne hi watan ko tab dil mein bas junun ka uthta hai ek bawandar sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar jab rahbaron ki toli apne bhale ki khatir hathon se phunkti ho khud apne hi chaman ko mazhab ke nam par yun hum ko lada lada kar dozakh bana rahi ho jannat-nishan watan ko dil pe 'shahab' kitne chubhte hain dekho nashtar sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar