kiran se ek mukalima

andhera dant kar bola
suno suraj ki ai nannhi kiran

ab ghar chali jao
tumhaari rajdhani par

hukumat ab meri hogi
kiran ne muskura kar

dew-qamat aur pur-haibat
andhere par nazar dali

tahammul se yaqin aur hausle ko
bhar ke apne narm lahje mein kaha

dekho chali to jaungi lekin
har ek dil mein rahungi

ek nai ummid ki surat
har ek ghar mein milungi

tum se ladta ek diya ban kar
sitaron se kabhi chhalkungi

un ki raushni ban kar
kabhi main chand se niklungi

us ki chandni ban kar
suno

main ja ke bhi maujud hungi
aur tum

maujud ho kar bhi nahin hoge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close