ajnabi shahr mein ajnabiyyat ka ehsas hota nahin phul patte hare ped parchhaiyan unchi nichi imaraat sadken gali kuche bazar muskuraate hue raste kitne manus hain har taraf ruh-parwar sukun dil ki gahraiyon se mukhatib hai thandi hawa zehn ke tane-bane badalne lagi zinda rahne ki khwahish machalne lagi raat dhalne lagi zindagi bhul hai zindagi phul hai phul ka rang hai phul ki bas hai dil mere pas hai