log har subh mujhe batate hain main bewa ho chuki hun aur main har sham dhan ke khet jaisi wo sadi odh leti hun jis se ubharte mere sunahri bazuon ko wo gandum ki baaliyan kahta tha tab mohabbat khushbu ban kar dalan aur kamron mein phail jati hai aur piano ko an-dekhi mutharrik ungliyan gudgudati hain aur main aatish-dan ke pas baith kar kahani ka sweater bunti hun mashalon ki lau lambi hoti jati hai aur tawil sae diwaron par raqsan rahte hain hawa mahin pardon ko bazuon mein le kar athkheliyan karti hai chand sahme bachche ki tarah darichon aur darzon se jhankta hai subh-dam jab sitare raushni ke samundar mein khud-kushi kar lete hain to wo taswir mein wapas chala jata hai aur main phir se sati ho jati hun